Tuesday 5 July 2016

Strong Password kaise bannaye aur password hack hone se kaise bachaye - 9 top tarike

strong password kaise banaye aur password hack hone se kaise bachaye


Dosto, hum sab jante hai ki password word hmare liye kitna important and secret hota hai. Lekin is technology time me koi bhi account ke password safe nahi kahe ja skate hai kyuki hacking strength itni badh gyi hai ki kabhi bhi koi bhi hamare password hack kar skta hai.
Kabhi hamare dimag me ye aata hai ki hum strong password kaise banaye jis se koi bhi hamare password hack na kar sake .
kuch strong password example se jante hai ki how to create a strong password.

Facebook , Twitter ,email , ATM , bank , WiFi , ke password hack kaise karte hai hacker ye sb esha lagta hai ab ye ek normal si baat ho gyi hai .

Chaliye jante hai ki in sab ke bich hum apna safe aur storng kaise lagaye aur apna account ,password aur data surkshit rakhe in easy tariko se jante hai.
Abhi kuch time pahle Mark zuckerberg Facebook ke CEO ke Twitter aur Pinterest ke account ko bhi hacker ne hack kar liya tha kyuki unka password bilkul normal aur week tha jo is prakr tha "Dadada".

strong passwords kaise banaye aur password hack hone se kaise bachaye 9 top tariko se 

Aap Facebook CEO ke example se jaan gye honge ki normal password rakhkar  hum khud ko kitna unsecure kar lete hai.

kuch strong password example niche bataye hai unse aap strong password generator kaise kar sakte hai ye jan sakte hai.

1 Week aur normal password nahi rakhe

  • Hume kbhi bhi short password nahi lagabe chahiye
  • Password me naam ya mobile number na rakhe 
  • Kabhi bhi dictionary word ka use na kare inka koi matalab niklata ho.
  • Company ka naam ya hometown ka naam bhi password me nahi lagaye 
  • Eshe password ka use na kare jo apne alawa koi aur bhi janta ho jaise ghar naam , paltu janwar ka name , Date of birth, zip code etc.
  • Hum khub bhul jaye eshe password bhi na rakhe 
Is type ke password ko hum normal ya week password kahte hai jo hacker asani se hack kar skate hai aur is type ke password ko bhi asani se chura bhi skate hai.

2. Use syntax in password, password me vaky ka use kare

Password lagate time kisi long syntax ko use kare aur sytex esha ho ki apne ko saani se yaad rahe 
 jaise "i am simple boy in my family" aur in sab ke starting words ko password ke taur par use kare
 Jaise "iasbimf" isko aap password ke rup me use kar sakte hai

3.  Use tricks in making password 

App password banate time tricks ko use karke bhi password laga skte hai aur is type ke password safe bhi hote hai 

Jaise aap apne name aur mobile number ko combine likh skate hai 
"Rahul" name aur 9988775544  number ko hum combine  
"Ra9988hu775544l" ya 'rah9988hul775544'  Likh sakte hai hai.
Ya dusri tricks se bhi combine likh skate hai jo hame yaad rkhne me asani  ho.


4.mobile number with verification alert 

Bahut si eshi services hiti hai jo login ke sath mobile number verification mangti hai. Un sabhi me mobile number verification alert rakhe kyuki jb bhi password hack karne ki bhi koshish karega to bhi verification code ke wo hack nhi kar payega. is tarah se bhi hum apna account safe rakh sakte hai.

5.long password hi use kare


Password generate karte time hamesha long password hi choose kare kyuki long password todna mushil hota hai .
Password ko 8 tex se long hi rakhe aur yahi password agar 20 se 24 word ka ho utna hi safe hota hai 
Matalab yah hai apna password jitna lamba hoga utna hi jyada storage Password honga.

READ MORE


6. Substitute character ka use kare

Password me substitute charecter ka pryog kare usme rupay , dollar  ka symbol $ , ¥ use kare is type ke password bahut storng aur secured bhi hote hai in password ko hack karna mushkil hota hai .


7. Alfa numeric ka use kare


Password bante time password me Alfa numeric characters ka use kare #, @ ,*  password me number, word and special character ka combination hoga to password aur jyada strong hoga.

READ MORE



8. Ek jaisa password nahi rakhe 


Aapke paas alag alag kai account to honge hi to jahir hai ek password bhi sab account ke honge . Kabhi kabhi hum galti kar dete hai aur sab account ke password same rakh dete hai ki password bhulenge nhi aur password save kar denge to longin ke time baar baar tyoe nhi karna pdega .
Par shayad aapko pta nhi sb account ke ek jaise password rakhne se hum unsecure jyada jote hai . Hamare kusi ek account ke password leak ho jaye to sare account per risk rahti hai aur aur dhyan me rkhe ki hum sare account ke password same na rakhe

9. password manager ka upyog kare

Hanre oaas account bhi jyada ho jate tai to hame password yaad rakhne me bhi problems ho jati hai eshe time me hame password manager ka use lena chahiye. Ye password ko yad rkhta hai hai aur agar hum password bhul jaye to password manager ki help se jaan bhi skate hai.


Final word


Ab aap ko samajh me aaya koga ki hum  strong password kaise banate hai aur
 Password ho hack hone se kaise bacha sakte hai. Normal aur week password ka use kyu nhi karna chahiye aur kis prakar se hum strong password bana kar apna account, data , password secured rakh sakte hai.

Agar aaoko ye post achi lagi hai aur aapko lagta hai ki isme kuch advantage hai to aap isko share karkedosto ko bhi btaye aur unhe bhi hacking world se safe kare 
Thank you !

0 comments:

Post a Comment

Social share icon